Tuesday, January 13, 2009

Ab bigadi takdeer bigade halat hain
Is zindagi mein kaun apne sath hain

Koi dikhaataa hain toh lut jata hain
Hum chupate hain toh barbaad hain

Yu toh zakhm lage Baras bit Gaye
Par lagata hain kal hi ki baat hain

Raat mein jage hain hum itane zyada
Ki ab toh syaah kalii apni hayat hain

Mein bhi khush nahi tu bhi udaas hain
Humare darmiyaan ye kaise halat hain

Jise bhi milana hoo jaldii se aakar mil lo
Bahut jald maut se @@tish-e-mulaqat hain..

hum bade ho gaye hain

सब कहते हैं हम बड़े हो गए हैं
पर क्या वाकई हम बड़े हो गए हैं
पहले बेकाम घर मैं दौड़ते थे
अब बेकाम दुनिया मैं दौड़ते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले बारिश में भीगते रहते थे
अब बारिश से बचाते रहते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले खिलोनो को तोड़ मुस्कुराते थे
अब ख्वाब तोड़ मुस्कुराते हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
पहले माँ डाट कर सिने से लगाती थी
अब ना माँ डाटती हैं ना सिने से लगाती हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
अब ना कोई दर्द पूछता हैं हमसे
ना कोई मरहम लगता हैं
शायद ये बड़ा होना हैं
आज किसी को तकलीफ में देखा
पर ध्यान नहीं दिया बस अपना काम करते रहे
आज लगता हैं हमे हम बड़े हो गए हैं

****************************************
*******

Sab kehte hain hum ab bade ho gaye hain
Par kya wakaii hum ab bade ho gaye hain
Pehle bekaam ghar mein dodate the
Ab bekam duniya mein dodate hain
Shayad ye bada hona hainn
Pehle baarish mein bighte rahte the
Ab chaato se barish se bachate hain
Shayad ye bada hona hain
Pehle khilono KO tod muskurate the
Ab khwaabo KO tod muskurate hain
Shayad ye bada hona hain
Maa pehle daat kar sine se laga leti thi
Ab Na ma datati hain Na sine se lagati hain
Shayad ye bada hona hain
ab naa koi mera dard puchata hain
naa ghav par marham lagata hainn
shayad ye bada honaa hain
aaj kisi ko takleef mein dekha tha
par uska haal pucha nahii humnee
naa hii us insaan par jyada dhyan diyaa
aaj lagata hain hum bade ho gayee